اردو हिंदी
Ishq ne kar diya kya kya suKHan-ara tere nam | Shaahi Shayari
ishq ne kar diya kya kya suKHan-ara tere nam

Ghazal

Ishq ne kar diya kya kya suKHan-ara tere nam

Zia Faruqi

;

ishq ne kar diya kya kya suKHan-ara tere nam
wo jo gata tha falak par wo sitara tere nam

usi fayyazi ka saya hai mere lafzon par
jis ne baKHsha hai samarqand o buKHara tere nam

aur main deta bhi kya apne junun ki qimat
kar diya mausam-e-gul sare ka sara tere nam

chashm-e-giryan ki qasam dida-e-viran ki qasam
wadi-e-shauq ka har ek nazara tere nam

jitne nuqsan the sab KHud hi uThae hain 'ziya'
main ne rakkha hi nahin koi KHasara tere nam