اردو हिंदी
Ishq nashsha hai na jadu jo utar bhi jae | Shaahi Shayari
ishq nashsha hai na jadu jo utar bhi jae

Ghazal

Ishq nashsha hai na jadu jo utar bhi jae

Ahmad Faraz

;

ishq nashsha hai na jadu jo utar bhi jae
ye to ek sail-e-bala hai so guzar bhi jae

talKHi-e-kaam-o-dahan kab se azab-e-jaan hai
ab to ye zahr rag o pai mein utar bhi jae

ab ke jis dasht-e-tamanna mein qadam rakkha hai
dil to kya chiz hai imkan hai ki sar bhi jae

hum bagulon ki tarah KHak-basar phirte hain
panw shal hon to ye aashob-e-safar bhi jae

luT chuke ishq mein ek bar to phir ishq karo
kis ko malum ki taqdir sanwar bhi jae

shahr-e-jaanan se pare bhi kai duniyaen hain
hai koi aisa musafir jo udhar bhi jae

is qadar qurb ke baad aise juda ho jaana
koi kam-hausla insan ho to mar bhi jae

ek muddat se muqaddar hai gharib-ul-watani
koi pardes mein na-KHush ho to ghar bhi jae