اردو हिंदी
Ishq minnat-e-kash-e-qarar nahin | Shaahi Shayari
ishq minnat-e-kash-e-qarar nahin

Ghazal

Ishq minnat-e-kash-e-qarar nahin

Faiz Ahmad Faiz

;

ishq minnat-e-kash-e-qarar nahin
husn majbur-e-intizar nahin

teri ranjish ki intiha malum
hasraton ka meri shumar nahin

apni nazren bikher de saqi
mai ba-andaza-e-KHumar nahin

zer-e-lab hai abhi tabassum-e-dost
muntashir jalwa-e-bahaar nahin

apni takmil kar raha hun main
warna tujh se to mujh ko pyar nahin

chaara-e-intizar kaun kare
teri nafrat bhi ustuwar nahin

'faiz' zinda rahen wo hain to sahi
kya hua gar wafa-shiar nahin