ishq mein ye hui haalat tere diwane ki
ab na jine ki tamanna hai na mar jaane ki
raqs mina ka kabhi shoKHiyan paimane ki
yaad aati hain fazaen tere maiKHane ki
kuchh is andaz se tartib diya hai main ne
tum se tashrih na hogi mere afsane ki
meri qismat hi mein likkhi thi tabahi ai dost
hai shikayat mujhe apne ki na begane ki
wo bhi bimar-e-mohabbat ka uDate hain mazaq
dekh kar jin ko tawaqqoa thi sambhal jaane ki
kyun na tauqir karen aaj meri ahl-e-haram
KHak chhani hai bahut main ne sanam-KHane ki
hijr aalam KHalish soz taDap dard-e-jigar
surKHiyan hain ye mere ishq ke afsane ki
Ghazal
Ishq mein ye hui haalat tere diwane ki
Aziz Warsi