ishq mein tere koh-e-gham sar pe liya jo ho so ho
aish-o-nishat-e-zindagi chhoD diya jo ho so ho
aql ke madrase se ho ishq ke mai-kada mein aa
jam-e-fana wa be-KHudi ab to piya jo ho so ho
lag ki aag lag uThi pamba tarah sa jal gaya
raKHt-o-jud jaan-o-tan kuchh na bacha jo ho so ho
hijr ki sab musibaten arz kin us ke ru-ba-ru
naz-o-ada se muskura kahne laga jo ho so ho
duniya ke nek-o-bad se kaam hum ko 'niyaz' kuchh nahin
aap se jo guzar gaya phir use kya jo ho so ho

Ghazal
Ishq mein tere koh-e-gham sar pe liya jo ho so ho
Niyaz Barelvi