ishq mein lazzat-e-azar nikal aati hai
is bahane se shab-e-tar nikal aati hai
hum tere shahr se milte hain guzar jate hain
tujh se milne mein to talwar nikal aati hai
KHwab mein toDta rahta hun ana ki zanjir
aankh khulti hai to diwar nikal aati hai
jab bhi aata hai koi rang zamane jaisa
kuchh na kuchh surat-e-inkar nikal aati hai
jab bhi karta hun KHamoshi ke hawale KHud ko
jaane kya barsar-e-paikar nikal aati hai

Ghazal
Ishq mein lazzat-e-azar nikal aati hai
Moid Rashidi