ishq mein la-jawab hain hum log 
mahtab aaftab hain hum log 
garche ahl-e-sharab hain hum log 
ye na samjho KHarab hain hum log 
sham se aa gae jo pine par 
subh tak aaftab hain hum log 
hum ko dawa-e-ishq-bazi hai 
mustahiqq-e-azab hain hum log 
naz karti hai KHana-virani 
aise KHana-KHarab hain hum log 
hum nahin jaante KHizan kya hai 
kushtagan-e-shabab hain hum log 
tu hamara jawab hai tanha 
aur tera jawab hain hum log 
tu hai dariya-e-husn-o-mahbubi 
shakl-e-mauj-o-hubab hain hum log 
go sarapa hijab hain phir bhi 
tere ruKH ki naqab hain hum log 
KHub hum jaante hain apni qadr 
tere na-kaamyab hain hum log 
hum se ghaflat na ho to phir kya ho 
rah-raw-e-mulk-e-KHwab hain hum log 
jaanta bhi hai us ko tu waiz 
jis ke mast-o-KHarab hain hum log 
hum pe nazil hua sahifa-e-ishq 
sahiban-e-kitab hain hum log 
har haqiqat se jo guzar jaen 
wo sadaqat-maab hain hum log 
jab mili aankh hosh kho baiThe 
kitne hazir-jawab hain hum log 
hum se puchho 'jigar' ki sar-masti 
mahram-e-an-janab hain hum log
 
        Ghazal
Ishq mein la-jawab hain hum log
Jigar Moradabadi

