ishq mein kuchh is tarah diwangi chhai ki bas
kucha-e-arbab-e-dil se ye sada aai ki bas
jab qadam diwangi ki had se aage baDh gae
dekhne walon ko mujh par wo hansi aai ki bas
bu-e-mushkin muskurai phul KHushbu le uDe
us sarapa-naz ki yun zulf lahrai ki bas
dekh kar wo bankpan wo husn wo rangin shabab
dil ki hasrat ne bhi aaKHir li wo angDai ki bas
hum se kuchh bhi ho na pai ehtiyat-e-dilbari
apni kotahi pe aisi aankh sharmai ki bas
le ke saghar hath mein hum chal paDe jab ai 'mubin'
mai-kade mein ek faza kuchh aisi lahrai ki bas
Ghazal
Ishq mein kuchh is tarah diwangi chhai ki bas
Syed Mubeen Alvi Khairabadi