ishq mein koi zaman aur na makan hota hai
wo do-alam se alag ek jahan hota hai
kis qadar un ki tabiat pe garan hota hai
jis fasane mein wafaon ka bayan hota hai
shiddat-e-shauq ka allah re fusun uf re fareb
un ki nafrat pe mohabbat ka guman hota hai
sirf ek dil hi wo mabad hai wo ek mabad-e-ishq
jis mein naqus ham-awaz-e-azan hota hai
un se is tarah juda ho ke hum aae hain ki hae
aankh se jaise koi ashk rawan hota hai
husn ke haq se koi ohda-bar-a kya hoga
ishq ka haq bhi ada hum se kahan hota hai
apni sozish mein bhi hota hai jahannum mahsus
ghair ki aag ka shoala bhi dhuan hota hai
sunne wale hi pe hai munhasir andaza-e-gham
warna jo haal hai wo kis se bayan hota hai
ghair ki aag mein jalne ka maza hai kuchh aur
warna parwana bhi KHud shoala-ba-jaan hota hai
hae is ishq mein insan ka jawan mar jaana
jaise kambaKHt isi din ko jawan hota hai
sath har sans ke aata hai zaban par tera nam
dil mein jo kuchh ho wahi wird-e-zaban hota hai
jis janaze pe barasti hui hasrat dekhun
us janaze pe mujhe apna guman hota hai
ishq mein hae tabiat ka wo aalam 'bismil'
aalam-e-ishq bhi jab dil pe garan hota hai
Ghazal
Ishq mein koi zaman aur na makan hota hai
Bismil Saeedi