ishq mein kab ye zaruri hai ki roya jae
ye nahin dagh-e-nadamat jise dhoya jae
dopahar hijr ki tapti hui sar par hai khaDi
wasl ki raat ko shikwon mein na khoya jae
uljhe ab panja-e-wahshat na garebanon se
aaj use sina-a-ada mein gaDoya jae
ek hi ghunT sahi aaj to pi le zahid
kuchh na kuchh zohd ki KHushki ko samoya jae
jitne bhi dagh raunat ke hain dhul jaenge
hauz-e-mai mein tujhe shaiKH aaj Duboya jae
Ghazal
Ishq mein kab ye zaruri hai ki roya jae
Gopal Mittal