ishq mein kanha ke radha yun hi diwani na thi
par mohabbat us ki duniya hi ne pahchani na thi
aaj kahti hun main khul kar jo nahin ab tak kaha
tum se mil kar main ne jaana ishq nadani na thi
ugte suraj ko hi duniyan jhuk ke karti hai salam
badle tewar pe zara bhi mujh ko hairani na thi
yun lage ki jam nazron se teri us ne piya
is se pahle to kabhi rut itni mastani na thi
kis liye gham main karun bolo to is pe doston
thi KHabar mujh ko jawani lauT kar aani na thi
tujh ko chaha tujh ko puja dewtaon ki tarah
bewafai se main lekin teri an-jaani na thi
aib hi mujh mein sada tum ko nazar aae faqat
KHubiyon ko par meri tum 'jyoti' pahchani na thi
Ghazal
Ishq mein kanha ke radha yun hi diwani na thi
Jyoti Azad Khatri