ishq mein jis ke ye ahwal bana rakkha hai
ab wahi kahta hai is waza mein kya rakkha hai
le chale ho mujhe is bazm mein yaro lekin
kuchh mera haal bhi pahle se suna rakkha hai
haal-e-dil kaun sunae use fursat kis ko
sab ko is aankh ne baaton mein laga rakkha hai
dil bura tha ki bhala kaam wafa ke aaya
yar jaane bhi de is bahas mein kya rakkha hai
ai saba aa ki dikhaen tujhe wo gul jis ne
baaton hi baaton mein gulzar khila rakkha hai
dekh ai dil na kahin baat ye us tak pahunche
chashm-e-namnak ne tufan uTha rakkha hai
husn chahe jise hans bol ke apna kar le
dil ne apnon ko bhi begana bana rakkha hai
dil jo is bazm mein aata hai to jata hi nahin
ek din dekhna diwana hua rakkha hai
haal mat puchh mohabbat ka hawa hai kuchh aur
la ke kis ne ye sar-e-rah diya rakkha hai
intizam aisa ki ghaTti hi nahin raunaq-e-bazm
hum se kitne hain ki wade pe laga rakkha hai
hosh to pahle hi kho aae the us mahfil mein
ab agar jaen to phir dil bhi gaya rakkha hai
tere aane ki KHabar pa ke abhi se dil ne
shikwe ko aur kisi din pe uTha rakkha hai
bar-ha yun bhi hua teri mohabbat ki qasam
jaan kar hum ne tujhe KHud se KHafa rakkha hai
dasht o dar KHair manaen ki abhi wahshat mein
ishq ne pahla qadam nam-e-KHuda rakkha hai
hijr mein ranj bhi karte hain pe itna bhi salim
yar tu ne to ajab haal bana rakkha hai
Ghazal
Ishq mein jis ke ye ahwal bana rakkha hai
Saleem Ahmed