ishq mein hijr ke sadme bhi uThae nahin hain
apni marzi se to hum dasht mein aae nahin hain
apna kasa bhi tahi apna kadu bhi KHali
dagh-e-didar-o-hawas dil pe lagae nahin hain
hum se mayus na ho sham-e-shabistan-e-KHayal
hum abhi KHak ke sine mein samae nahin hain
ab kisi samt se KHushbu nahin aati hum tak
kaghzi phul bhi taqon mein sajae nahin hain
ek dukan khol ke bazar ka ruKH dekhna hai
abhi aain tijarat ke banae nahin hain
hurmat-e-harf ki tafsir banane walo
hum kisi aur sitare se to aae nahin hain
Ghazal
Ishq mein hijr ke sadme bhi uThae nahin hain
Asad Badayuni