اردو हिंदी
Ishq mein har tamanna-e-qalb-e-hazin surKH aansu bahae to main kya karun | Shaahi Shayari
ishq mein har tamanna-e-qalb-e-hazin surKH aansu bahae to main kya karun

Ghazal

Ishq mein har tamanna-e-qalb-e-hazin surKH aansu bahae to main kya karun

Turfa Qureshi

;

ishq mein har tamanna-e-qalb-e-hazin surKH aansu bahae to main kya karun
na-umidi hama-waqt ummid ke hashiyon ko miTae to main kya karun

us ke ruKHsar subh-e-daraKHshan sahi us ki zulfon mein sham-e-ghariban sahi
dhup aur chhanw ki tarah wo KHud-nigar samne mere aae to main kya karun

wo alag main alag wo kahin hain kahin waqai ye to shayan-e-ulfat nahin
wo ada-ashna husn-e-naz-afrin be-niyazi dikhae to main kya karun

hai safine ka mere muhafiz KHuda na-KHuda bhi madad-gar hai ab mera
ye bhi mana ki hai ab muafiq hawa dil hi jab Dub jae to main kya karun

aah-e-sozan ka ulfat mein yara nahin tujh pe aanch aae mutlaq gawara nahin
uD ke chingariyan aatish-e-waqt ki tera daman jalae to main kya karun

kaun sa gham hai jis ka mudawa nahin kaun sa dard hai jis ka chaara nahin
ishq ko gham ho pyara to kya kijiye dard hi dil ko bhae to main kya karun

kaam jo rahnuma ka tha main ne kiya us ki manzil ka us ko pata bhi diya
phir bhi 'turfa' koi rahraw-e-kam-nazar rasta bhul jae to main kya karun