ishq mein har nafas ibaadat hai
mazhab-e-ishq aadamiyat hai
ek zamana raqib hai mera
jab se hasil teri rifaqat hai
zindagi nam ranj-o-gham hi sahi
phir bhi kis darja KHubsurat hai
ek mohabbat bhari nazar ke siwa
aur kya ahl-e-dil ki qimat hai
chand muKHlis jahan ikaTTha hun
wo jagah ahl-e-dil ki jannat hai
kaun suljhae gesu-e-dauran
apni uljhan se kis ko fursat hai
ek duniya tabah kar Dale
ek zarra mein aisi taqat hai
sitam-dost ho ki lutf dost
jo bhi mil jae wo ghanimat hai
un ko dekhenge be-hijab 'hafiz'
shauq-e-didar agar salamat hai
Ghazal
Ishq mein har nafas ibaadat hai
Hafeez Banarasi