اردو हिंदी
Ishq mein gul ke jo nalan bulbul-e-ghamnak hai | Shaahi Shayari
ishq mein gul ke jo nalan bulbul-e-ghamnak hai

Ghazal

Ishq mein gul ke jo nalan bulbul-e-ghamnak hai

Hasrat Azimabadi

;

ishq mein gul ke jo nalan bulbul-e-ghamnak hai
gul bhi us ke gham mein dekho kiya gareban-chaak hai

dagh-bar-dagh ashk-bar-ashk apni chashm o dil mein hain
kya bala gul-KHez ai yaro ye musht-e-KHak hai

ai KHizar jaun kahan main kucha-e-mai-KHana chhoD
KHush-dili ka maulid o mansha ye KHak-e-pak hai

gharq-sar-ta-pa hun bahr-e-be-karan-e-KHun mein main
aashna puchhe hai to ye chashm kyun namnak hai

sarw ki nisbat se us qadd-e-bala baala ko kya
KHushk chob-e-pa bigul ye wo qad-e-chaalak hai

hae kin aankhon se dekhun us ruKH-e-raushan pe KHat
chashma-e-KHurshid mein ye kya KHas-o-KHashak hai

kafir o momin ko riqqat gham mein hai 'hasrat' ke hae
kuchh KHuda ka Dar bhi tujh ko ai but-e-bebak hai