ishq mein dil-lagi si rahti hai
gham bhi ho to KHushi si rahti hai
dil mein kuchh gudgudi si rahti hai
munh par un ke hansi si rahti hai
ye hua hai KHuda KHuda kar ke
raat-din be-KHudi si rahti hai
hashr ke din bhi kuchh gunah kar lun
masiyat mein kami si rahti hai
sadqe main apne ghuncha-dil ke
ye kali kuchh khili si rahti hai
itni pi hai ki baad-e-tauba bhi
be-piye be-KHudi si rahti hai
aish bhi ho to lutf-e-aish nahin
har-dam afsurdagi si rahti hai
shab-e-gham ki sahar mein nur kahan
subh bhi sham hi si rahti hai
ye nahin hai ki parda paD jae
nashshe mein aagahi si rahti hai
rahte hain gul lahad ke pazhmurda
shama bhi kuchh bujhi si rahti hai
ho gai kya bala mere ghar ko
raat-din tirgi si rahti hai
ab junun ki ewaz hai yaad-e-junun
hath mein hathkaDi si rahti hai
kaf-e-pa se hina nahin chhuTti
aag ye kuchh dabi si rahti hai
teri taswir ho ki tegh teri
hum se har-dam khinchi si rahti hai
badle botal ke ab haram mein 'riyaz'
hath mein zamzami si rahti hai
Ghazal
Ishq mein dil-lagi si rahti hai
Riyaz Khairabadi