ishq mein dil ban ke diwana chala
aashna se ho ke begana chala
qulqul-e-mina se aati hai sada
bhar chuka jis waqt paimana chala
be-zabanon ko bhi aai hai zaban
beDi ghul karti hai diwana chala
ishq-bazi bazi-e-shatranj hai
chaal nadan rah gaya dana chala
shab jo aaya bazm mein wo shola-ru
shama gul karne ko parwana chala
bu-e-gul ghuncha se kahti hai 'nasim'
baat nikli munh se afsana chala
Ghazal
Ishq mein dil ban ke diwana chala
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi