ishq mein barbaad hone ke siwa rakkha na tha
gham ko sahne ke alawa koi bhi chaara na tha
yaad rah rah kar kisi ki hai satati raat bhar
subh hote bhul jaana ye tujhe shewa na tha
ye teri ulfat mujhe rakhti hai betabi mein gum
ye sabhi ko thi KHabar lekin koi charcha na tha
aaina dekhun to kyun tu hi nazar aae mujhe
bolta hai kya tera chehra mere jaisa na tha
din guzar jata hai duniya ki masafat mein magar
raat hi ek imtihan hai jis ka andaza na tha
raat ki tanhaiyan aaghosh mein le kar mujhe
puchhti hain kya kabhi tanhaiyan dekha na tha
kya mohabbat wo nasha hai main zara jaanun 'nisar'
zindagi mein is tarah pahle kabhi bahka na tha
Ghazal
Ishq mein barbaad hone ke siwa rakkha na tha
Ahmed Nisar