اردو हिंदी
Ishq kya kya aafaten lata raha | Shaahi Shayari
ishq kya kya aafaten lata raha

Ghazal

Ishq kya kya aafaten lata raha

Mir Taqi Mir

;

ishq kya kya aafaten lata raha
aaKHir ab duri mein ji jata raha

mehr o mah gul phul sab the par hamein
chehrai chehra hi wo bhata raha

dil hua kab ishq ki rah ka dalil
main to KHud gum hi use pata raha

munh dikhata barson wo KHush-ru nahin
chah ka yun kab talak nata raha

kuchh na main samjha junun o ishq mein
der naseh mujh ko samjhata raha

dagh tha jo sar pe mere shama san
panw tak mujh ko wahi khata raha

kaise kaise ruk gae hain 'mir' hum
muddaton munh tak jigar aata raha