اردو हिंदी
Ishq kya hai KHud-faramoshi musalsal iztirab | Shaahi Shayari
ishq kya hai KHud-faramoshi musalsal iztirab

Ghazal

Ishq kya hai KHud-faramoshi musalsal iztirab

Saghir Ahmad Saghir Ahsani

;

ishq kya hai KHud-faramoshi musalsal iztirab
husn kya hai jalwa-arai ba-andaz-e-hijab

ruh muztar dil pareshan chashm hai mahrum-e-KHwab
main bahut masrur hun ai ishq tu hai kaamyab

jaan nisaron par tumhaare raaz ye ifsha hua
maut lutf-e-sarmadi hai zist yaksar iztirab

chaak-damani ka gham hai ab na kuchh fikr-e-rafu
kar chuke diwane tum se zindagi ka intisab

gul fasurda hon KHas-o-KHashak mein baalidgi
baghban aisa to aaya tha na pahle inqilab

do-jahan mein sirf ye hai ishq ki daulat 'saghir'
sina-e-pur-dagh chashm-e-tar dil-e-hasrat-maab