اردو हिंदी
Ishq kya hai gham-e-hasti ka fana ho jaana | Shaahi Shayari
ishq kya hai gham-e-hasti ka fana ho jaana

Ghazal

Ishq kya hai gham-e-hasti ka fana ho jaana

Qaisar Umrao Tovi

;

ishq kya hai gham-e-hasti ka fana ho jaana
paikar-e-KHak ka miT miT ke KHuda ho jaana

ye du do-jahan hai teri zulfon ka asir
ras aaya hai use said-e-bala ho jaana

na-KHudai pe hai naz ahl-e-safina hushiyar
na-KHuda chahta hai aap KHuda ho jaana

sainkaDon sajdon mein waiz ko hua hai hasil
zinat-e-mahfil-e-arbab-e-riya ho jaana

faiz-e-asi hai ki is bazm-e-suKHan mein 'qaisar'
hai mayassar mujhe yun garm-nawa ho jaana