اردو हिंदी
Ishq kya hai bebasi hai bebasi ki baat kar | Shaahi Shayari
ishq kya hai bebasi hai bebasi ki baat kar

Ghazal

Ishq kya hai bebasi hai bebasi ki baat kar

Aurangzeb

;

ishq kya hai bebasi hai bebasi ki baat kar
ye bhi koi zindagi hai zindagi ki baat kar

karb se TuTa nahin main dard se marta nahin
mujh pe tari be-hisi hai be-hisi ki baat kar

waqt se laDta hua taqdir se uljha hua
main nahin hun sar-kashi hai sar-kashi ki baat kar

tu KHuda jis ko banane par ba-zid hai na-samajh
wo faqat ek aadmi hai aadmi ki baat kar

waqt kab ka mar chuka hai aaj bhi zinda hun main
tu nahin to kya kami hai is kami ki baat kar

faelatun faelun se hum bhi waqif hain magar
ye hamari shairi hai shairi ki baat kar