ishq ko tark-e-junun se kya gharaz
charKH-e-gardan ko sukun se kya gharaz
dil mein hai ai KHizr gar sidaq-e-talab
rah-rau ko rah-numon se kya gharaz
hajiyo hai hum ko ghar wale se kaam
ghar ke mehrab o sutun se kya gharaz
gunguna kar aap ro paDte hain jo
un ko chang o arghanun se kya gharaz
nek kahna nek jis ko dekhna
hum ko taftish-e-darun se kya gharaz
dost hain jab zaKHm-e-dil se be-KHabar
un ko apne ashk-e-KHun se kya gharaz
ishq se hai mujtanib zahid abas
sher ko said-e-zabun se kya gharaz
kar chuka jab sheKH tasKHir-e-qulub
ab use duniya-e-dun se kya gharaz
aae ho 'haali' pa-e-taslim yan
aap ko chun-o-chagun se kya gharaz
Ghazal
Ishq ko tark-e-junun se kya gharaz
Altaf Hussain Hali