ishq ko pas-e-wafa aaj bhi karte dekha
ek patthar ke liye ji se guzarte dekha
past ghaaron ke andheron mein jo le jati hain
wo uDanen bhi to insan ko bharte dekha
jabhi lai hai saba mausam-e-gul ki aahaT
barg afsurda hue shaKHon ko Darte dekha
teri dahliz pe gardish ka guzar kya mani
tujh ko jab dekha hai kuchh bante sanwarte dekha
be-sada hi sahi par sang-e-sifat hain lamhe
un ki aaghosh mein har shai ko bikharte dekha
jo bhi biti sar-e-farhad pe biti 'najmi'
kisi 'parwez' ko teshe se na marte dekha
Ghazal
Ishq ko pas-e-wafa aaj bhi karte dekha
Hasan Najmi Sikandarpuri