ishq ko kaamyab hona tha
aap ko be-naqab hona tha
kya shikayat tere taghaful ki
KHatm mera shabab hona tha
aap ne hosh kho diye mere
aaj hi be-naqab hona tha
kyun na dil chhin kar wo le jate
zindagi ko KHarab hona tha
un hasinon ke zulm sahne ko
mera hi intiKHab hona tha
kyun zuleKHa ka KHwab ban na gaya
gar mujhe kaamyab hona tha
chir kar dil ko dil se nikli thi
aah ko kaamyab hona tha
mil ke 'shankar' se aaj us ne kaha
tujh ko mast-e-sharab hona tha

Ghazal
Ishq ko kaamyab hona tha
Shankar Lal Shankar