اردو हिंदी
Ishq ko bar-e-zindagi na kaho | Shaahi Shayari
ishq ko bar-e-zindagi na kaho

Ghazal

Ishq ko bar-e-zindagi na kaho

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

;

ishq ko bar-e-zindagi na kaho
baat itni bhi be-tuki na kaho

dil ko jis mein ho fikr-e-sud-o-ziyan
us tijarat ko aashiqi na kaho

kuchh to marne ka hausla dikhlao
sirf jine ko zindagi na kaho

dil-lagi ke siwa bhi kuchh hai ishq
ishq ko mahz dil-lagi na kaho

kuchh na kah kar bhi apne dil ki baat
yun ba-andaz-e-KHamushi na kaho

sab kaho par hamein KHuda ke liye
apne mahfil mein ajnabi na kaho

jis ko kuchh aadmi ka dard na ho
aise zalim ko aadmi na kaho

dil ko baKHshe jo zindagi 'mansha'
tum to us gham ko gham kabhi na kaho