ishq ki shoala-mizaji KHud hi barsati hai aag
bans ke jangal mein apne-ap lag jati hai aag
jaan lene ke tariqe kis qadar dilchasp hain
zahr barsati hai shabnam phul barsati hai aag
harf jab aata hai namus-o-waqar-e-ishq par
shiddat-e-ehsas se rag rag mein lahraati hai aag
na-muwafiq daur mein apne bhi ho jate hain ghair
KHushk mausam ho to diwaron mein lag jati hai aag
dekhne wale zara nazdik ja kar dekhte
dur se KHush-rang KHush-paikar nazar aati hai aag
aatish-e-jazbaat se raushan he duniya-e-'mushir'
jism ke aazar-kade mein nur ban jati hai aag
Ghazal
Ishq ki shoala-mizaji KHud hi barsati hai aag
Mushir Jhanjhanvi