ishq ki mere jo shohrat ho gai
yar se mujh ko nadamat ho gai
KHak arz-e-muddaa us se karun
jis ko baaton mein kudurat ho gai
yan se jaane ko hain wo aachuk kahin
kya bala ai abr-e-rahmat ho gai
ab sitam aghyar par karne lage
mere mar jaane se ibrat ho gai
jalwa-e-mani nazar aane laga
pite pite mai ye surat ho gai
un ki baaten us ne bhi chhup kar sunin
aaj naseh ko nasihat ho gai
mana-e-wasl-e-ghair par hans kar kaha
bare ab tum ko bhi ghairat ho gai
bu-e-gul us gul ki bu ke ru-ba-ru
fil-haqiqat be-haqiqat ho gai
bas na farmate phiro ye 'shefta'
go unhen tum se mohabbat ho gai
Ghazal
Ishq ki mere jo shohrat ho gai
Shefta Mustafa Khan