ishq ki manzil mein ab tak rasm mar jaane ki hai
husn ki mahfil mein ab bhi KHak parwane ki hai
aarzu-e-shauq kaif-e-mustaqil pane ki hai
dil ki har taKHrib mein tamir virane ki hai
mehr-e-qabl-e-sham ki raftar mastane ki hai
matla-e-rang-e-shafaq mein shan maiKHane ki hai
sham-e-mahfil bhi nahin aur ahl-e-mahfil bhi nahin
nazish-e-mahfil sahar tak KHak parwane ki hai
ho sakegi kis tarah sarf-e-qalam rudad-e-dil
ab bhi zer-e-ghaur surKHi gham ke afsane ki hai
kya sukun-e-kaif de rangin mahaul-e-qafas
har ghaDi pesh-e-nazar taswir kashane ki hai
chand lamhon ko chale aana mere marne ke baad
kya zarurat jite-ji taklif farmane ki hai
aur kya hota ziyaada is se ehsas-e-wafa
shama ke daman mein koi shart parwane ki hai
bandagi mashrut ho sakti nahin ahl-e-nazar
is mein koi shart kabe ki na but-KHane ki hai
dastan-e-arzu hai naghma-e-ahd-e-shabab
is ki surKHi par zarurat ghaur farmane ki hai
markaz-e-ahl-e-nazar hai 'zeb' nairang-e-KHayal
phir kami kyun manzar-e-fitrat pe chha jaane ki hai
Ghazal
Ishq ki manzil mein ab tak rasm mar jaane ki hai
Zeb Bareilwi