اردو हिंदी
Ishq ki itni baDhin ranaiyan | Shaahi Shayari
ishq ki itni baDhin ranaiyan

Ghazal

Ishq ki itni baDhin ranaiyan

Shankar Lal Shankar

;

ishq ki itni baDhin ranaiyan
husn ko aane lagin angDaiyan

ek wo hain aur un ki anjuman
ek main hun aur meri tanhaiyan

yun na dekho aariz-e-gul-rang ko
aaine mein paD rahi hain jhaiyan

phir ubhar aai hain choTen ishq ki
phir mohabbat ki chalin purwaiyan

is tarah aati hai dil mein un ki yaad
dur par jaise paDin parchhaiyan

ibtidai marhale wo ishq ke
hae 'shankar' wo meri ruswaiyan