ishq ki duniya mein ek hangama barpa kar diya
ai KHayal-e-dost ye kya ho gaya kya kar diya
zarre zarre ne mera afsana sun kar dad di
main ne wahshat mein jahan ko tera shaida kar diya
tur par rah-e-wafa mein bo diye kanTe kalim
ishq ki wusat ko masdud-e-taqaza kar diya
bistar-e-mashriq se suraj ne uThaya apna sar
kis ne ye mahfil mein zikr-e-husn-e-yakta kar diya
chashm-e-nargis ja-e-shabnam KHun roegi nadim
main ne jis din gulsitan ka raaz ifsha kar diya
qais ye meraj-e-ulfat hai ki ejaz-e-junun
najd ke har zarre ko taswir-e-laila kar diya
muddaa-e-dil kahun 'ehsan' kis ummid par
wo jo chahenge karenge aur jo chaha kar diya
Ghazal
Ishq ki duniya mein ek hangama barpa kar diya
Ehsan Danish