ishq ki dastan kya kahiye
KHamushi hai zaban kya kahiye
ek dil par hazar ilzamat
sabr ka imtihan kya kahiye
tir-o-nashtar ki baat hi kya hai
hon jo abru kaman kya kahiye
dekh kar ek jamal-e-ranai
aarzu hai jawan kya kahiye
shewa-e-husn bewafai hai
aap se mehrban kya kahiye
manzil-e-ishq hai kaThin yaro
shauq ka imtihan kya kahiye
fitrat-e-husn hai bahut bebak
ishq hai be-zaban kya kahiye
hai zaim-e-jahan-e-sher-o-adab
KHizr ka KHandan kya kahiye
sadgi bhi hai aur nudrat bhi
ye 'nazar' ki zaban kya kahiye
Ghazal
Ishq ki dastan kya kahiye
Nazar Barni