اردو हिंदी
Ishq ki bimari hai jinko dil hi dil mein galte hain | Shaahi Shayari
ishq ki bimari hai jinko dil hi dil mein galte hain

Ghazal

Ishq ki bimari hai jinko dil hi dil mein galte hain

Raza Azimabadi

;

ishq ki bimari hai jin ko dil hi dil mein galte hain
murde hain wo haqiqat mein zahir mein phirte chalte hain

jab rah mein mil gae kahne lage tere hi ghar mein jata tha
jao chale laDka tu nahin main mujh ko apne machalte hain

auron ke lagane-bujhane se itna jalate ho mujh ko
Dariye hamari aahon se hum log bhi jalte-balte hain

sab kahte hain un ke munh mein to aab-e-hayat bhara hai sab
hum se jo karte hain baaten phir kyun zahr ugalte hain

kaise hi dard ka sher paDhen we yun bhi na puchhe kya bak gae
jin ke dil patthar hain so kab in baaton se pighalte hain

bas kariye chup rahiye ab khulwana raazon ka KHub nahin
malte hain hum hath paDe koi aur kuchh aur hi malte hain

mere ashk-e-surKH se tum yun ghafil ho afsos afsos
dekho to ye lal ke TukDe kaise KHak mein rulte hain

shayad aate jate phir us KHana-jang se bigDi hai
ghar se bahut kam mir-'raza'-ji ab in rozon nikalte hain