ishq ki aanch mein sundarta ka bhi dhan jalta hai
parwane ki chita par shama ka joban jalta hai
agni-ban hain teri nazren aaina mat dekh
tere shish-mahal ka ek ek darpan jalta hai
rang-rup ki lau bhi nazar us bhed ko kya jaane
rup aaya hai gulshan par ya gulshan jalta hai
jab jab sulge koi mohan yaad to barson tak
miTTi ka Tila aankhon ka suna ban jalta hai
dil ki lagi kis or bujhe ek jalte dil ke sath
sara purab pachchhim utar dakhkhan jalta hai
mere soz-o-saz ke rasiya tujh ko kya malum
sat suron ki aag mein mera tan-man jalta hai
ang ang mein us ke 'musawwir' narm lawen si hain
jab wo hath mein kangan pahne kangan jalta hai
Ghazal
Ishq ki aanch mein sundarta ka bhi dhan jalta hai
Musavvir Sabzwari