ishq ke hathon mein parcham ke siwa kuchh bhi nahin
us ka aalam tere aalam ke siwa kuchh bhi nahin
be-yaqini su-e-zan iman-e-naqis ki dalil
fikr-e-rahat KHatra-e-gham ke siwa kuchh bhi nahin
hum se puchho hum bataen ghayat-e-kaun-o-makan
kargah-e-ibn-e-adam ke siwa kuchh bhi nahin
aatish-e-nafrat se ab duniya hai aise moD par
dida-war go ye jahannam ke siwa kuchh bhi nahin
yaad-e-ayyame ki ye bhi jaan-e-razm-o-bazm the
jin ke pas ab chashm-e-pur-nam ke siwa kuchh bhi nahin
hum nahin minjumla ahl-e-raza kyun kar kahen
jin ke lab par qissa-e-gham ke siwa kuchh bhi nahin
ahl-e-duniya ke liye jo abr-e-naisan tha 'uruj'
ab wo insan ashk-e-shabnam ke siwa kuchh bhi nahin
Ghazal
Ishq ke hathon mein parcham ke siwa kuchh bhi nahin
Urooj Zaidi Badayuni