اردو हिंदी
Ishq karte hain to ahl-e-ishq yun sauda karen | Shaahi Shayari
ishq karte hain to ahl-e-ishq yun sauda karen

Ghazal

Ishq karte hain to ahl-e-ishq yun sauda karen

Ahsan Marahravi

;

ishq karte hain to ahl-e-ishq yun sauda karen
hosh ka sarmaya nazr-e-husn-e-be-parwa karen

hum na hon lekin zamane mein hamara nam ho
aisi hasti chahiye to mar ke hum paida karen

hai KHud-arai kisi ki shan-e-KHuddari ke sath
yani un ko hum na dekhen wo hamein dekha karen

dars-e-irfan ke liye har zarra hai tur-e-kalim
dekhne wale magar pahle nazar paida karen

sheKH ko jannat mubarak hum ko dozaKH hai qubul
fikr-e-uqba wo karen hum KHidamt-e-duniya karen

ek dil hai ek hasrat ek hum hain ek tum
itne gham kam hain jo koi aur gham paida karen

'ahsan'-e-ranjur ko duniya se kya hai wasta
aap ne bimar Dala aap hi achchha karen