ishq karo to ye bhi socho arz-e-sawal se pahle
hijr ki puri raat aati hai subh-e-visal se pahle
dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin
aankhen pagal ho jati hain ek KHayal se pahle
kis ne ret uDai shab mein aankhen khol ke rakkhin
koi misal to hona us ki misal se pahle
kar-e-mohabbat ek safar hai is mein aa jata hai
ek zawal-asar sa rasta bab-e-kamal se pahle
ishq mein resham jaise wadon aur KHwabon ka rasta
jitna mumkin ho tai kar len gard-e-malal se pahle

Ghazal
Ishq karo to ye bhi socho arz-e-sawal se pahle
Noshi Gilani