ishq karne mein dil bhi kya hai shoKH
saikaDon mein se ek chuna hai shoKH
ye bhi shoKHi nai nikali hai
aaj dushman se kuchh KHafa hai shoKH
apni aankhon mein raat din rakh kar
main ne KHud us ko kar diya hai shoKH
ashk-e-KHun mere dekh kar bole
is se to kuchh meri hina hai shoKH
aankh se gir ke god mein machla
tifl-e-ashk aisa ho gaya hai shoKH
bosa har waqt ruKH ka leta hai
kis qadar gesu-e-dota hai shoKH
chheDti hai tumhaare zulfon ko
kis bala ki magar saba hai shoKH
bar mein aaina ke liya na qarar
jaan-e-man aks bhi tera hai shoKH
phir gai dur se dikha ke jhalak
hijr mein ai 'saKHi' qaza hai shoKH
Ghazal
Ishq karne mein dil bhi kya hai shoKH
Sakhi Lakhnvi