ishq kar ke dekh li jo bebasi dekhi na thi
is qadar uljhan mein pahle zindagi dekhi na thi
ye tamasha bhi ajab hai un ke uTh jaane ke baad
main ne din mein is se pahle tirgi dekhi na thi
aap kya aae ki ruKHsat sab andhere ho gae
is qadar ghar mein kabhi bhi raushni dekhi na thi
aap se aankhen mili thin phir na jaane kya hua
log kahte hain ki aisi be-KHudi dekhi na thi
mujh ko ruKHsat kar rahe hain wo ajab andaz se
aankh mein aansu labon par ye hansi dekhi na thi
kis qadar KHush hun main 'nasir' un ko pa lene ke baad
aisa lagta hai kabhi aisi KHushi dekhi na thi
Ghazal
Ishq kar ke dekh li jo bebasi dekhi na thi
Hakeem Nasir