ishq ka raaz na kyun dil se numayan ho jae
kash ye bhi kisi nakaam ka arman ho jae
nahin ummid ki wo hashr-ba-daman ho jae
aisa diwana jo KHud daKHil-e-zindan ho jae
dard qabu ka nahin kash wo uTh kar shab-e-gham
sarguzisht-e-dil-e-nashad ka unwan ho jae
na tasalli na dilasa na kahin nam ko sabr
haif is dil pe ki yun be-sar-o-saman ho jae
ghunche chaTken ki khilen phul baDhe josh-e-numu
husn-e-pinhan kisi unwan se numayan ho jae

Ghazal
Ishq ka raaz na kyun dil se numayan ho jae
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq