اردو हिंदी
Ishq ka mara na sahra hi mein kuchh chaupaT paDa | Shaahi Shayari
ishq ka mara na sahra hi mein kuchh chaupaT paDa

Ghazal

Ishq ka mara na sahra hi mein kuchh chaupaT paDa

Nazeer Akbarabadi

;

ishq ka mara na sahra hi mein kuchh chaupaT paDa
hai jahan us ka amal wo shahr bhi hai paT paDa

aashiqon ke qatl ko kya tez hai abru ki tegh
Tuk udhar jumbish hui aur sar idhar se kaT paDa

ashk ki nok-e-mizha par shisha-bazi dekhiye
kya kalaen khelta hai bans par ye naT paDa

shayad us ghuncha-dahan ko hanste dekha bagh mein
ab talak ghuncha balaen leta hai chaT chaT paDa

dekh kar us ke sarapa ko ye kahti hai pari
sar se le kar panw tak yan husn aa kar phaT paDa

kya tamasha hai ki wo chanchal haTila chulbula
aur se to hiT gaya par mere dil par haT paDa

kya hua go mar gaya farhad lekin dosto
be-sutun par ho raha hai aaj tak khaT khaT paDa

hijr ki shab mein jo khinchi aan kar nale ne tegh
ki paTe-bazi wale tasir se haT haT paDa

dil baDha kar us mein khincha aah ne phir nimcha
ai 'nazir' aaKHir wo us ka nimcha bhi paT paDa