اردو हिंदी
Ishq ka iKHtitam karte hain | Shaahi Shayari
ishq ka iKHtitam karte hain

Ghazal

Ishq ka iKHtitam karte hain

Wazir Ali Saba Lakhnavi

;

ishq ka iKHtitam karte hain
dil ka qissa tamam karte hain

qahr hai qatl-e-am karte hain
tark turki tamam karte hain

taq-e-abru se un ke dar-guzre
hum yahin se salam karte hain

shaiKH us se panah mangte hain
barahman ram ram karte hain

jauhari par tere dur-e-dandan
aab-o-dana haram karte hain

KHatt-e-qismat paDha nahin jata
sirf mantiq tamam karte hain

ya ilahi halal hon waiz
duKHt-e-raz haram karte hain

aap ki munh lagi hai duKHtar-e-raz
baaten honTon se jam karte hain

chali duniya se hum pa-e-uqba
kuch bhar maqam karte hain

apne dil par hai iKHtiyar hamein
mulk ka intizam karte hain

qabil-e-guftugu raqib nahin
aap kis se kalam karte hain

raat bhar mere nala-e-pur-dard
nind un ki haram karte hain

zulm hi ahmaqon ki munh-zori
tang ye be-lagam karte hain

dil se rang-e-dui miTate hain
zaKHm ka iltiyam karte hain

ai 'saba' kyun kisi ka dil toDen
kabe ka ehtiram karte hain