اردو हिंदी
Ishq ishq ho shayad husn mein fana ho kar | Shaahi Shayari
ishq ishq ho shayad husn mein fana ho kar

Ghazal

Ishq ishq ho shayad husn mein fana ho kar

Fani Badayuni

;

ishq ishq ho shayad husn mein fana ho kar
intiha hui gham ki dil ki ibtida ho kar

dil hamein hua hasil dard mein fana ho kar
ishq ka hua aaghaz gham ki intiha ho kar

na-murad rahne tak na-murad jite hain
sans ban gaya ek ek nala na-rasa ho kar

ab hui zamane mein shewa-e-wafa ki qadr
aalam-ashna hai wo dushman-e-wafa ho kar

aur bande hain jin ko dawa-e-KHudai hai
thi hamari qismat mein bandagi KHuda ho kar

umr-e-KHizr ke andaz har nafas mein pata hun
zindagi nai pai aap se juda ho kar

baDhta hai na ghaTta hai marte hain na jite hain
dard par KHuda ki mar dil mein rah gaya ho kar

kar-gah-e-hasrat ka hashr kya hua ya rab
dagh-e-dil pe kya guzri naqsh-e-muddaa ho kar

ishq se hue aagah sabr ki bhi had dekhi
KHak mein mila doge der-ashna ho kar

ki qaza-e-mubram ne zindagi ki gham-KHwari
dard ki dawa pahunchi dard be-dawa ho kar

zindagi se ho be-zar 'fani' is se kya hasil
maut ko mana loge jaan se KHafa ho kar