ishq ilzam bhi to hota hai
ye bura kaam bhi to hota hai
dosti kuchh mujhi ko tum se nahin
ye maraz aam bhi to hota hai
nahin taklif hi mohabbat mein
us mein aaram bhi to hota hai
wada karne mein phir tammul kya
han tumhein kaam bhi to hota hai
raat-din dard hi nahin rahta
dil ko aaram bhi to hota hai
nasha-e-husn aur phir kab tak
baada-e-KHam bhi to hota hai
nam par tere kyun na aata pyar
pyar ka nam bhi to hota hai
kya tajjub jo ho visal mein wasl
kaam mein kaam bhi to hota hai
ai safi' aashiqi ki ye tarif
aur anjam bhi to hota hai

Ghazal
Ishq ilzam bhi to hota hai
Safi Aurangabadi