ishq hun to sham-e-husn-e-yar ka parwana hun
husn hun to main charagh-e-kaba-o-but-KHana hun
meri hasti kar-farma hai jahan tak dekhiye
rind hun main jam hun main saqi-e-mai-KHana hun
koi diwana mujhe kahta hai saudai koi
waqia ye hai ki mahw-e-jalwa-e-jaanana hun
main hun un ki ibtida aur wo hain meri intiha
KHatm ho jo husn par wo ishq ka afsana hun
han jala de KHak kar de phunk de hasti meri
tu to sham-e-husn hai main to tera parwana hun
tum ho aalam tum se hai aalam magar ba-in-hama
tum ho aalam-ashna main tum se bhi begana hun
main hudud-e-shara se bahar nahin 'bismil' magar
kahne do jo kuchh kahun diwana hun diwana hun
Ghazal
Ishq hun to sham-e-husn-e-yar ka parwana hun
Bismil Saeedi