ishq har-chand masaib se pareshan na hua
na hua husn magar taba-e-farman na hua
lakh duniya ne ye chaha ki pareshan ho magar
main tere gham ki hifazat mein pareshan na hua
dil ki aawaz ho mahrum-e-asar kya mani
ishq kafir hai agar husn musalman na hua
darpai uqda-e-hasti hai azal hi se bashar
lekin ek KHak ke zarre ka bhi irfan na hua
dil mein har KHun ka qatra hai talatum ba-kanar
jo magar aankh se Tapka wahi tufan na hua
to wo aazad ki be-wajh hai mujh se bhi gurez
main wo majbur ki dushman se bhi nalan na hua
apni paigham-nawai ke nataej mein mujhe
fikr-e-zindan to raha hai gham-e-zindan na hua
jis ke mashrab mein mohabbat ho mohabbat ka jawab
meri taqdir mein aisa koi insan na hua
ek hi jalwe se 'ehsan' nazar haT na saki
mujh se kuchh us ke siwa kar-e-numayan na hua
Ghazal
Ishq har-chand masaib se pareshan na hua
Ehsan Danish