اردو हिंदी
Ishq hai us zulf ka sartaj aaj | Shaahi Shayari
ishq hai us zulf ka sartaj aaj

Ghazal

Ishq hai us zulf ka sartaj aaj

Kishan Kumaar Waqaar

;

ishq hai us zulf ka sartaj aaj
hai rasul-e-husn ki mearaj aaj

nok-e-mizhgan par nahin hai laKHt-e-dil
dar par khincha gaya hallaj aaj

tark chashm-e-yar ke tewar hain aur
KHirman-e-taqat ka hai taraj aaj

tegh-e-abru kal paDi dil par mere
tir mizhgan ka hua aamaj aaj

chuse hain us ke misi aaluda-lab
main ne nilam ka kiya pokhraj aaj

wasl ki marzi thi kal us shoKH ki
phir gaya wo waqt-e-istimzaj aaj

likkha hai jo wasf abru ka 'waqar'
sher-sheari se na le kyun baj aaj