اردو हिंदी
Ishq hai gham jo sikhata hai fana ho jaana | Shaahi Shayari
ishq hai gham jo sikhata hai fana ho jaana

Ghazal

Ishq hai gham jo sikhata hai fana ho jaana

Mani Jayasi

;

ishq hai gham jo sikhata hai fana ho jaana
dard-e-dil hai jise aata hai dawa ho jaana

dars-e-himmat hai nae rah-raw-e-ulfat ke liye
kanTe pana to mera barahna-pa ho jaana

ishq pyara hai to neamat hai gham-e-mahjuri
in ka milna hai mohabbat ka juda ho jaana

hosh la-hasli-e-shikwa-e-nakaami hai
be-KHudi mein mera raazi-ba-raza ho jaana

ai pashiman-e-sitam ja ki jahan dekh chuka
mera marna tere wade ka wafa ho jaana

wasl-e-jaanan ki tamanna hai to miT ja pahle
yun mayassar nahin bande ko KHuda ho jaana

sans ginta hun tamanna mein ki dekhun 'mani'
gham-e-dil ka adab-amoz-e-fana ho jaana