ishq fani na husn fani hai 
un ka har lamha jawedani hai 
dekh rindon pe itna tan na kar 
dekh rut kis qadar suhani hai 
shaiKH fani sahi ye dhar magar 
teri jannat faqat kahani hai 
ek be-kaif sa tasalsul hai 
koi gham hai na shadmani hai
        Ghazal
Ishq fani na husn fani hai
Gopal Mittal

